Okara Cantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum
Welcome To OkaraCantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum. We Hope You Enjoy Your Visit.

You're Currently Viewing Our Forum As A Guest. This Means You Are Limited To Certain Areas Of The Board And There Are Some Features You Can't Use. If You Join Our Community, You'll Be Able To Access Member-Only Sections, And Use Many Member-Only Features Such As Customizing Your Profile, Sending Personal Messages, And Voting In Polls. Registration Is Simple, Fast, And Completely Free.
Okara Cantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum
Welcome To OkaraCantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum. We Hope You Enjoy Your Visit.

You're Currently Viewing Our Forum As A Guest. This Means You Are Limited To Certain Areas Of The Board And There Are Some Features You Can't Use. If You Join Our Community, You'll Be Able To Access Member-Only Sections, And Use Many Member-Only Features Such As Customizing Your Profile, Sending Personal Messages, And Voting In Polls. Registration Is Simple, Fast, And Completely Free.
Okara Cantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog in

 

 Ghazalz Collection

Go down 
3 posters
AuthorMessage
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:43 pm

Salam:: Guest

Harf-E-Ranjish pe koi baat bhee ho sakti hay
Ain mumkin hay mulaqat bhee ho sakti hay

Zindagi phool hay khushbu hay magar yaad rahay
Zindagi Gardish-E-Halat bhee ho sakti hay

Hum nay yeh sooch k rakha thaa qadam Gulshan mein
Lalo-O-Gul mein teri zaat bhee ho sakti hay

Chaal chaltay huey Shatranj ki baazi k Asool
Bhool jao gay to phir maat bhee ho sakti hay

Ek to Chatt k bina ghar hay hmaara
Us pe Yeh khof k Barsaat bhee ho sakti hay
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:43 pm

Hm dasht k Basi hai aey sheehr k logo.
Ye Roh pyasi hamain wirsay mai mili hai.
Dukh Dard se sadion ka taalluk hai hamara
ankhoo ki udasi hamain wirsay main mili hai.
jaan daina rewayat hai qabeelay ki humari
ye surkh libasi hamain wirsay main mili hai.
jo baat bhi kehte hain utar jati hai dil main
taseer juda si, hamain wirsay main mili hai
jo hath b thama hai sada sath raha hai
Ehbab Shanasi hamain Wirsay main mili hai.
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:44 pm

Jafa wo kartay hein to bas yahein se kartay hein
K sari Bazm mein Parda bas hami say kartay hein

Sawal-E-Shooq Shuru hum wahein say kartay hein
Jawab wo bhee shru bas "Nahi" say kartay hein

Eisa na ho k kami Dard-E-Dil mein a jai
Dosti phir bhee kisi Dilnasheen say kartay hein

Tum suno ya na suno Hum to kahay jaein gay
Dil ki har baat faqat hum tumhi say kartay hein

Jahan kahin mere Parda Nasheen ki ho baat
Hayat apni shuru hum wahein say kartay hein

Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:45 pm

Aayatain Mohabbat ki Tilawat nai kartay
Lagta hay yahan log Mohabbat nai kartay

Anjaam-E-Wafa soch k Aaghaaz karo tm
Chupkay say nikalnay ki Himakat nai kartay

Yeh Qaid sikha deti hay Aaghaz-E-Mohabbat
Pinjray mein Prinday bhee Sharart nai kartay

Wo kon hein kis Wastay is dar p paray hein
Deewanay kbhi Dasht say Hijrat nai kartay

Mit Jatay hein Dunya say woh log bhee MOHSIN
Jo Log Fqeeron say Mohabbat nai kartay.......!
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:46 pm

RAT GUZAR JATI HAY


Tere khyaal mein raat guzar jati hay
Bebasi k haal mein raat guzar jati hay

To mjhay yaad karta hay k nai issi
Sawaal mein hi raat guzar jati hay

Tere Chehray ka Aks Zehen mein bnata hoon
Tassawur-E-Hilal mein raat guzar jati hay

Tumhay Chaand kahon ya Chaand jesa kahon
Sochon k Jaal mein raat guzar jati hay

Kaash k to har Waqt meray saath rahay
Khwahish-E-Kamal mein rat guzar jati hay

Bagair Qismat k Kuch bhee Nai Milta "Sahil"
Bus isi "Malal" mein raat guzar jati hay
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:46 pm

Yeh zara zara c baat p traha traha k Azzab keyn?
Jo kisi say b Khafa na ho mjhay us KHUDA ki Tlaash hay

Mujhay Lazishon p har gharri koi Tokta hay baar baar
Jisay kar k dil ko Dukh na ho mujhay Us Gunah ki Talash hay

Bina Hamsafar k kab talak koi Musafton mein laga rahay
Jahan koi kisi say Juda na ho mujahy us Rah ki Talash hay

Mujhay dekh kar jo ek Nazar Meray saaray Dard smjh skay
Jo is Qadar ho charagar Mujhay us Nigah ki Talash hay
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:47 pm

Sar Jhukaao gay to pathar Devta ho jai ga
Itna mat Chaho usay wo Bewafa ho jai ga

Hm bhee darya hein hme apna Hunar maloom he
Jis Taraf bhee chal parein ge Rasta ho jaye ga

Kitni sachaai se mujhse Zindagi ne keh dia
To nahi mera to koi doosra ho jai ga

Mein Khuda ka naam le kar pee raha hon Dosto
Zeher bhee is mein hwa agr to wo Dawa ho jai ga

Rooth jana to mohabbat ki Alamat he mgr
Kia khabar thi Muqaddar hi rooth jai ga.
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:48 pm

Meri Zindagi ki Kitaab ka, Hai Warq Warq youn saja howa
Sar-E-Ibtida,, Sar-E-Intiha,, Tera Naam dil pe likha howa

Yeh Chamak Damak to Fraib hay, Mujhay Dekh Gehri Nigah say
Hai Libaas mera saja howa, Mgar dil he mera Bujha howa

Meri Aankh teri Talaash mein, Youn Bhtakti rehti hay Rat Din
Jesay Janglon mein "Hiran" koi, Ho Shikarion mein Ghira howa
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:50 pm

Tum Mosam Mosam lagtay ho


Jo pal pal Rang bdaltay ho

Tum Sawan Sawan lagtay ho

Jo Sadyoo bad Barastay ho

Tum Sapna Sapna lagtay ho

Jo Mujh ko kam kam dikhtay ho

Tum pal pal Mujh say Lartay ho

Per phir bhee Achay lagtay ho

Baat to hai Sharmeeli si

Par Kehnay ko dil karta hay

Lo Aj Yeh hum ne Keh hi Dala

TUM MUJH KO ACHAY LAGTAY HO
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:50 pm

Kab hoi Pyaar ki Barsaat humay Yaad nahi
Khof mein Doobi Mulaqat hume Yaad nahi

Hum to Madhosh thay itna us ki Chahat mein
Us nay Kab Chor dia sath Hume Yaad nahi

Zindagi Jabr-E-Musalsal ki trah Kati hai
Janay kis Jurm ki pai hay Saza Yaad nahi

Me nay Palko say Dar-E-Yaar par Dastak di hay
Mein wo Sail hon jise koi Sada Yaad nahi

Aao Ek Sajda karein Aalam-E-Madhoshi mein
Log kehtay hein Saghar ko KHUDA Yaad nahi
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:51 pm

Hamara Yeh tum ko Salam Aakhri hay
Suno Aaj tum say Kalam Aakhri hay

Dilon ki Batein Dilon mein rahein gi
Mulaqat ki Lakin yeh Sham Aakhri hay

Chaho jo ge bhar k pi lo issay tum
Deedar ki may ka yeh Jaam Aakhri hay

Dil-E-Muztarab bara Bechain-O-Behis
Chahat ka lagta hay Muqaam Aakhri hay

Aaj k Baad mein na Zinda milon ga
Meri Zindagi ka Yeh Kaam Aakhri hay

Phir is k baad meri na batein milein gi
Ye Ghzal meri Jaan teray Naam Aakhri hay
Back to top Go down
Capstan
Failure is only a temporary change
Failure is only a temporary change
Capstan


Join date : 2011-05-06
Posts : 71
Points : 192
Reputation : 6
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 218
Location : ^_^Pakistan^_^

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeSun May 08, 2011 10:51 pm

Eik Arzu hay Poori Parwardigar karay
Mein dair se Jaon wo mera Intizaar karay

Apnay Hathon say Sanwaray Zulfain meri
Woh Itra kar Mohabbat Ka Iqrar karay

Lipat Jai Mujh se Aalam-E-Madhoshi mein
Aur Josh-O-Junun mein Mohabbat ka Izhar karay

Ho Shab Wisaal ki Eisi Ghari Ya Rab
K Choom k Matha Mujhay Bedaar karay

Jab usay Chor k Chahun mein jana
Wo Rokay eik or Raat ka Israar karay
Back to top Go down
Sheraz.Nasir
Moderator
Moderator
Sheraz.Nasir


Join date : 2011-05-08
Posts : 142
Points : 343
Reputation : 1
Gender : Male
Browser : Ghazalz Collection 416
Location : Multan

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Dard Nainon Mein   Ghazalz Collection I_icon_minitimeWed May 11, 2011 4:27 am

Dard Nainon Mein Phailta Raha
Ye Aur Baat Ke
Barrey Zabt Say Main Jhailta Raha
Mohabbaton Say Darney Laga Tha
Khud Pay Sitam Karney Laga Tha
Raah-e-Faraar Dhoondhney Laga Tha
Par Jaaney Kaisey
Koi Barri Adaa Say
Kaanon Mein Ras Ghol Ke Kehney Laga
Tanha!!
Ye Mohabbaton Ka Nagar Aabad Rakhna
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Ye Mohabbatein
Ye Chahatein
Tumhein Kahin Say Na Milein Gi
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Sach Poocho To
Mujhey Bhi Tumhari Zaroorat Hai ..!!!!

[You must be registered and logged in to see this image.]
Back to top Go down
http://www.awara-panchi.webs.com
rim jim
Member
Member
rim jim


Join date : 2011-05-20
Posts : 2
Points : 2
Reputation : 1
Gender : Male
Age : 33
Browser : Ghazalz Collection Qq11
Location : peshawar

Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitimeFri May 20, 2011 3:40 pm

nYc
Back to top Go down
Sponsored content





Ghazalz Collection Empty
PostSubject: Re: Ghazalz Collection   Ghazalz Collection I_icon_minitime

Back to top Go down
 
Ghazalz Collection
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Ghazalz & Poetry Collection
» Beauty Full cursar collection only at IT Blog

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Okara Cantt - Pakistan's Biggest IT Education Forum  :: Entertainment and Discussions :: Urdu Adab & Shayeri-
Jump to:  

Chat Room OKaraCantt.CoM

Create free forum | ©phpBB | Free forum support | Report an abuse | Forumotion.com